rasta rookay khari hai yehi uljhan kab say.....
koi poochain tu kahain ke kidher jaatay hain......
chatt ki kariyoon say utartay hain meray khawaab magar.....
meri deewaaroon say takra ke bikhar jaatay hain.......
naram alfaaz bhali baatain muhazzab lehjay......
pehli baarish main he ye rang utar jaatay hain......
us dareechay main or koi naheen or hum bhi......
sar jhukaayae chup chaap guzar jaatay hain....!!
No comments:
Post a Comment