Tu kahan chali gai thi
tera beqarar INSHA
teri justuju me hara
teri yaad me sulagta
kabhi bastion bano me
kabhi soo-e-koho sehra
kabi shorishon me khoya
kabhi be kasa na tanha
liye deed ki tamanna
bana aarzu sarapa
tujhe har jagah pukara
tujhe dhoond dhoond hara...
tu ke rooh-e-zindagi thi
tu kahan chali gai thi....!!!
No comments:
Post a Comment