Thursday, 30 June 2011

Mujhe khabar thi woh mera nahi paraya tha


Mujhe khabar thi woh mera nahi paraya tha
Par dharkano ne usiko khuda banaya tha

Mai khwab khwab jise dhundh ta phira barson

Wo ashq ashq meri aankh mai samaya tha

Tera qasur nahi jaan meri Tanhaye

Ye rog maine hi khud jaan ko lagaya tha

Tamam shehar mai ek woh hai ajnabi mujhse

Ki jisne geet mera shehar ko sunaya tha

No comments:

Post a Comment