Wednesday, 29 June 2011

Khabon mein mery na tum aya karo

Khabon mein mery na tum aya karo
Meri jaan mujhy na staya karo

Aa kar jo deti ho khushiyan mujhy
To ja kar mujhy na rulaya karo

Muntazir hon tum sy milny ko main
Intazar mein na mujh ko tarpaya karo

Jajti hai khushi chehry par tery
Dekh kar mujhko bhi muskraya karo

Na chhorna ALI ko kabhi bhi ay dost
Khush reh kar khushian lutaya karo

No comments:

Post a Comment