Thursday, 30 June 2011

agar kabhi meri yaad aaye

agar kabhi meri yaad aaye
toh chand raaton ki narm dilgeer roshni mein
kisi sitaray ko daikh lena
agar wo nakhl-e-falak se urr kar
tumharay qadmon mein aa giray to yeh jaan lena
woh istaa’ra tha mere dil ka

agar na aaye…
magar…
yeh mumkin hi kis tarah hai keh tum
kissi per nigah dalo
aur uss ki deewar-e-jaan na toote
woh apni hasti na bhool jaaye

agar kabhi meri yaad aaye,
gurez karti hawa ki lehron pe haath rakhna
mein khushboo’on mein tumhein miloon ga
mujhe gulabon ki pattiyon mein talash karna
mein aus qatron ke aainon mein tumhein miloon ga

jo aus qatron ke aainon mein na pao mujh ko
toh apne qadmon mein dekh laina…
mein khaak hoti musafaton mein tumhein miloonga

kahin pe roshan chiragh dekho to jaan lena keh…
har patangay ke saath mein bhi bikhar chuka hoon
tum apne haathon se unn patangon ki khaak darya mein daal dena…
mein khaak ban kar samandaron ka safar karoon ga

kissi na dekhe huay jazeere peh ruk ke tum ko sada’ein doon ga
samandaron ke safar peh niklo…
toh uss jazeeray peh bhi utarna

No comments:

Post a Comment